Scroll To Top
News Trending

Thoda Sa Aasman OST Lyrics l Feriha Pervez l Har Pal Geo


Thoda Sa Aasman OST Lyrics Har Pal Geo

Jeena hai jalte bujhte sitaron ke darmiyan
Dedo kisi tarha hamein thoda sa aasman
Thoda sa aasman, Thoda sa aasman
Thoda sa aasman, Thoda sa aasman

Har dard apna dard hai
Har aag apni aag
Har dard apna dard hai
Har aag apni aag
Har pal hai apne saamne
Jalta howa suhaag

Dhundle hain sare raatse
Manzil hai be-nishan
Dedo kisi tarha hamein thoda sa aasman
Thoda sa aasman, Thoda sa aasman
Thoda sa aasman, Thoda sa aasman

Socha yahi tha beete gi apno mein zindagi
Socha yahi tha beete gi apno mein zindagi
Lekin guzarna parri sapno mein zindgi
Tum sath do hamara to kafi hai ye jahan
Dedo kisi tarha hamein thoda sa aasman
Thoda sa aasman, Thoda sa aasman
Thoda sa aasman, Thoda sa aasman

Bhooli nahi hain ab bhi wo choti si kainat
Bhooli nahi hain ab bhi wo choti si kainat
Jab tinka tinka khawahishein jori thi aik sath
Kese bikhar ke rah gaya wo aashiyan
Dedo kisi tarha hamein thoda sa aasman
Thoda sa aasman, Thoda sa aasman
Thoda sa aasman, Thoda sa aasman

Jeena hai jalte bujhte sitaron ke darmiyan
Dedo kisi tarha hamein thoda sa aasman
Thoda sa aasman, Thoda sa aasman
Thoda sa aasman, Thoda sa aasman...

Share This: