Scroll To Top
News Trending

OST Izzat Lyrics Zindagi Tv


OST Izzat Lyrics Zindagi Tv....

Main wo kiya bataon mujh par jo alam guzar gaye hain
Jo khawab they zindagi ky wo sabhi bikhar gaye
Jo they aas ky piyale wo lahoo se bhar gaye
Jo na choo sake manzil wo qadam thahar gaye hain

Koi kah raha hai kafir mere naqsh ujarr gaye hain
Koi kah raha hai kafir mere naqsh ujarr gaye hain

Mere baazoun mein dam hai na tu tootne na dy
Kabhi haron main na himmat mera qafas sada de
Karon sach ka saamna main mujhe hosla khuda de
Mere lazawal jazbe mujhe zinda kar gaye hain

Koi kah raha hai kafir mere naqsh ujarr gaye hain
Koi kah raha hai kafir mere naqsh ujarr gaye hain

Share This: